Carpet pak karne ka Tariqa. کارپیٹ،قالین پاک کرنے کا طریقہ |
carpet pak karne ka tareeqa
carpet ( carpet ) ka napak hissa aik baar dhokr latka
dijye, yahan
tak ke pani tapakna Band hojaye phir dobarah dhokr latka dijyey yaha tak ke pani tapakna band ho
jaye phir teesri baar aِsi tarhan dhokr latka
dijye jab
pani tapakna band hojaye ga to carpet pak hojaye ga.
chatai, chamray ki chappal aur mitti ke bartan etc yani jin cheezon mein patli najasat
jazb(sukh jana) ho jati ho aِsi tareeqay par pak kiya
jayega.
Aisa Nazuk kapra ke nichornay se phat jane ka khatra ho woh
bhi aِsi terhan pak kiya jayega. agar napak carpet ya
kapra waghera bahtay pani mein ( ex: darya, neher mein ya pipe ya nal ke jari
pani ke neechay ) itni der tak rakh chhoden ke Yaqeen hojaye ke pani najasat ko
bahakar le gaya ho ga tab bhi pak hojaye ga. carpet par Bache pishaab kardey to
uss jagah par pani ke cheenthay maar dainay se woh pak nahi hota balki use bhi dhona
zaruri he. yaad rahay! aik din ke bachay ya bachi ka pishaab bhi napak hota hai
.
Carpet pak karne ka Tariqa. کارپیٹ،قالین پاک کرنے کا طریقہ |
0 Comments