Napak kapray pak karne ka Asan tareeqa

Napak kapray pak karne ka Asan tareeqa
Napak kapray pak karne ka Asan tareeqa

Napak Kapry Kaise paak kare?  

kapray pak karne ka aik aasaan tareeqa yeh bhi hai ke balti mein napak kapray daal kar ooper se nal khol dijye, kapron ko Hath ya kisi Danda waghera se iss terhan duboye rakhiyae ke kahin se kapray ka koi hِissa pani ke bahar na rahay.

    jab balti ke upar se ubal kar itna pani bah jaye ke Yaqeen ho jaye ke pani najasat ko baha kar le gaya hoga to ab woh kapray aur balti ka pani sath sath haath ya dande ka jitna hissa pani ke andar tha sab pak hogaye, jabkay kapray waghera par nijasat ka asar baqi nah ho.

iss amal ke DOURAN yeh ahthyat Zaroori hai ke pak hojane ke Yaqeen se Pahle napak pani ka aik bhi cheentta aap ke badan ya kisi aur cheez par nah  pade. balti ya bartan ka oopar y Kinara ya androoni deewar ka koi hissa napak pani wala hai aur zameen itni hamwar nahi ke balti ke har taraf se pani ubhar ke niklay aur Mukammal kinare waghera dhul jayen to aisi soorat mein kisi bartan ke zariye ya jari pani ke null ke neechay haath rakh kar uss se balti waghera ke charon taraf iss terhan pani bahaye ke kinare aur baqiya androoni hisse bhi dhull kar pak ho jaien, Magar yeh kaam shuru hi mein kar lijiye kahin pak kapray dobarah napak nah kar bathain !

washing machine mein kapray pak karne ka tareeqa

washing machine mein kapray dalkar pehlay pani bhar lijiye aur kapron ko haath waghera se pani mein daba kar rakhiyae taa ke koi hissa ubhra hwa nah rahay, oopar ka nal khula rakhiyae aur nichala Sorakh bhi , iss terhan oopar null se pani aata rahay ga aur nichale sorakh se behta rahayga, jab Yaqeen ho jaye ke pani najasat ko baha le gaya ho ga to kapray aur machine ke andar ka pani pak ho jaye ga jabkay najasat ka assar kapron waghera par baqi nah ho.

Nall ke neechay kapray pak karne ka tareeqa

mazkoorah tareeqay par pak karne ke liye balti ya bartan hi Zaroori nahi, null ke neechay haath mein pakar kar bhi pak kar saktay hain. For example rumal napak hogaya, to basin mein null ke neechay rakh kar itni der tak pani Bahaye ke Yaqeen ho aajay ke pani najasat ko baha kar le gaya ho ga to pak ho jaye ga. Bada kapra ya us ka napak hissa bhi isi tareeqay pr pak kya ja sakta hai. magar yeh ahthyat Zaroori hai ke napak pani ke cheenthay aap ke kapray, badan aur  deegar jaghon par nah paren. 

Napak kapray pak karne ka Asan tareeqa
Napak kapray pak karne ka Asan tareeqa




Post a Comment

0 Comments