Suicide karne wale ki namaz janaza, خودکش کرنے والے کی نماز جنازہ


Har musalman ki namaz parhi jaye agarchay wo kaisa hi gunehgaar ho magar kuchh q log hain  ke unn ki namaz e janaza nahi parhi jayegi.

(1) baaghi jo imam barhaq par na-haq Kharooj kere aur usi baghaawat mein mara jaye .

(2) daku jo daaka dalte hue  mara gaya nah unn ko ghusal diya jaye nah unn ki namaz parhi jaye.

(3 ) jo log na-haq pasdari se laren balkay jo unn ka tamasha dekh rahay thay aur pathar aakar laga aur mar gaye to un ki bhi namaz nahi, haan un logo k  juda  honay ke baad marey to namaz parhi jayegi.

(4 ) jis ne kayi shakhs ka gala ghoont kar maar daaley, uski namaz nahi parhi jayegi.

(5 ) jo shehar mein raat ko hathyaar le kar lout maar karen who bhi daku hain, usi haalat mein maaray jayen to unn ki bhi namaz nah parhi jayegi .

(6) jis ne apni maa ya baap ko maar dala, uss ki bhi namaz nahi prhi jayegi.

(7 ) jo kisi ka maal chean raha tha aur is haalat mein mara gaya, uss ki bhi namaz nah he.

Masla  : jis ne khudkushi مرحبا ki, halaank yeh bohat bara gunah hai, magar uss ke janaza ki namaz parhi jaye gi agarchay jan bujh k khudkushi ki ho, jo shakhs Rajam kya gaya ya qisaas mein mara gaya, ussay ghusal denge aur namaz parheen ge.


 


Suicide karne wale ki namaz janaza, خودکش کرنے والے کی نماز جنازہ 

Thought of Peace

Post a Comment

0 Comments