Gusl ka tarika, غسل کا مسنون طریقہ

 

Gusl ka tarika, غسل کا مسنون طریقہ
Gusl ka tarika, غسل کا مسنون طریقہ

Ghusal Ke Farayiz

sabse pahle aap ye Jaan len ki Gusal me 3 chizen farz Hai.

1: acchi Tarah Se Kulli karna.

2: naak Mein Pani dalna. 

3: pure Badan par acchi Tarah Se Pani Bahana.

Gusal Karne Ka Sunnat Tarika

Ghusal ka Sunnat Tarika yah hai bathroom Jane Se Pahle Bismillah padhle Aur Dil Mein ghusal Ka Irada kar le. Uske bad donon Hathon ko Kaliyon Tak dhoye aur Jahan Jahan napaki Lagi Hai acchi Tarah Se saaf kar le, Namaz ke  wazu Ki Tarah wazu banye, Uske bad pahle right kandhe per 3 bar Pani bahaye fir left kandhe par 3 bar aur last sar par 3 bar is Tarah Pani Dale k sar k baal Se lekar per k talwa Tak ache Se dhul jaye aur last me per ko dho le.


Note: Naak saaf is Tarah kare k Pani haddi Tak pahoch jaye aur Kulli is taraha kare k danto k beech me Jo Khali jagah he usme bhi pani bah jaye. Agar roza nahi rakhe hen to gargara bhi Kar le....


Dhiyan Rahe k Jism ka yani Body ka koi bhi part sukha na Rahe warna ghusal nahi hoga





Thought of Peace

Wazu ka tarika


Post a Comment

0 Comments