Har musalman ki namaz parhi jaye agarchay wo kaisa hi
gunehgaar ho
magar kuchh q log hain ke unn ki namaz e
janaza nahi parhi jayegi.
(1) baaghi jo imam barhaq par na-haq Kharooj kere aur usi
baghaawat mein mara jaye .
(2) daku jo daaka dalte hue mara gaya nah unn ko ghusal diya jaye nah unn
ki namaz parhi jaye.
(3 ) jo log na-haq pasdari se laren balkay jo unn ka tamasha
dekh rahay thay aur pathar aakar laga aur mar gaye to un ki bhi namaz nahi,
haan un logo k juda honay ke baad marey to namaz parhi jayegi.
(4 ) jis ne kayi shakhs ka gala ghoont kar maar daaley, uski
namaz nahi parhi jayegi.
(5 ) jo shehar mein raat ko hathyaar le kar lout maar karen
who bhi daku hain, usi haalat mein maaray jayen to unn ki bhi namaz nah parhi jayegi
.
(6) jis ne apni maa ya baap ko maar dala, uss ki bhi namaz
nahi prhi jayegi.
(7 ) jo kisi ka maal chean raha tha aur is haalat mein mara
gaya, uss ki bhi namaz nah he.
Masla : jis ne khudkushi مرحبا ki, halaank yeh bohat bara gunah hai, magar uss ke janaza ki namaz parhi jaye
gi agarchay jan bujh k khudkushi ki ho, jo shakhs Rajam kya gaya ya qisaas mein
mara gaya, ussay ghusal denge aur namaz parheen ge.
| Suicide karne wale ki namaz janaza, خودکش کرنے والے کی نماز جنازہ |

0 Comments